I Miss You Hindi Shayari

Monday, December 20, 2010
I Miss You Shayari, Hindi I Miss You Shayari, New I Miss You Shayari

Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi,
shikwa nahi, shikwa nahi, shikwa nahi
Tere bina zindagi bhi lekin, zindagi, to nahi,
zindagi nahi, zindagi nahi, zindagi nahi

apko miss karna roz ki bat ho gai,
yaad karna aadat ki bat ho gai,
apse dur rahena kismat ki bat ho gai,
magar aapko bhulna
apne bas k bahar ki baat ho gai!


Har aahat ehsas hamara Dilaegi,
har hawa kissa hamara sunaegi,
Hum itni yaade bhar denge aap k Dil me,
na chahte hue bhi aap ko yaad hamari aaegi.

Hum Kabhi Tumse Khafa ho nahi sakte,
wada kiya hai to bevafa ho nahi sakte,
aap bhale hi hume bhulakar so jao,
magar hum aapko yaad kiye bina so nahi sakte....

Dil tu dhadkana band kar,
jab jab to dhadkata hai unki yaad aati hai,
Wo to khush hogi apni dunia me,
Jaan to pal pal hamari hi jati hai.