New Years - Naya Saal Shayri

Friday, February 12, 2010
Teri Aamad Say Ghati Umer, Jahan Mein Sub Ki
Faiz Nay Likhi Hai Yeh Nazam Niralay Dhab Ki...

Ae Naye Saal Bata Tujh Mein Niya Kia Hai?
Har Taraf Khalq Nay Kiun Shor Macha Rakha Hai

Aasman Badla Hai Afsoos, Na Badli Hai Zameen
Aik Hindsay Ka Badalna Koi Jiddat To Nahi

Roshni Din Ki Wohi Taron Bhari Raat Wohi
Aaj Hum Ko Nazar Aati Hai Har Baat Wohi


Aglay Barson Ki Tarah Hongay Qareenay Teray
Kisay Maloom Nahi Barah Mahinay Teray

Junuary, February Or March Mein Paray Sardee
Or April, May, June Mein Hogee Garmee

Tu Naya Hai To Dikha Subah Nayi, Shaam Nayi
Warna In Aankhon Nay Dekhay Hain Naye Saal Kayi

Tera Mun Dehar Mein Kuch Khoye Ga Kuch Paye Ga
Apni Miyad Basar Karkay Chala Jaye Ga


Be-Sabab Daitay Hain Kiun Log Mubarakbadain
Ghaliban Bhool Gaye Waqt Ki Karwi Yaadain